Dil apana nikaal k badi hasrat se ek martbaan me sajaya,
aur chal pada baazar ki oor suna hai bazar me sab kuch bik jata hai,
dil zigar,insaan aur imaan bhi...
Aisa na tha ki thi kimat badi...
Mangi thi bus pyaar ki chaar kaudi...
Parkha sabne kharida kisine nahi,
jabki bade log aaye the waha khuda,nanak,isu aur bhagwan bhi....
Ameeron k bazar se ek gareeb khali hath laut aaya...
Tabhi dil ne kaha apana hausla na kho...
Ho sakta hai koi kiraayedaar aaye mujhme rahne ko...
Aur mai intzaar me hu.....
KISI SACHCHE KHARIDAR KI?????